Dhala na sang ke paikar mein yar kis ka tha
Dhalā na sañg ke paikar meñ yaar kis kā thā
vo ek aks chaTānoñ ke paar kis kā thā
zamīñ paḌī rahī be-sāz-o-barg kis kī thī
kahīñ baras gayā abr-e-bahār kis kā thā
havā.eñ le uḌiiñ naqsh-e-kamāl kā nairañg
na jaane ḳhaak pe vo shāhkār kis kā thā
kahīñ pata na lagā phir vajūd kā mere
uThā ke le ga.ī duniyā shikār kis kā thā
nafas charāġh siyah pāniyoñ meñ thā ḳhāmosh
ḳhabar nahīñ ki use intizār kis kā thā
jo aarzū thī banī ek bojh āḳhir 'zeb'
hamīñ uThā.e phire dil pe baar kis kā thā
Dhala na sang ke paikar mein yar kis ka tha
wo ek aks chaTanon ke par kis ka tha
zamin paDi rahi be-saz-o-barg kis ki thi
kahin baras gaya abr-e-bahaar kis ka tha
hawaen le uDin naqsh-e-kamal ka nairang
na jaane KHak pe wo shahkar kis ka tha
kahin pata na laga phir wajud ka mere
uTha ke le gai duniya shikar kis ka tha
nafas charagh siyah paniyon mein tha KHamosh
KHabar nahin ki use intizar kis ka tha
jo aarzu thi bani ek bojh aaKHir 'zeb'
hamin uThae phire dil pe bar kis ka tha
- Book : zard zarkhez (Pg. 116)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.