gardish-e-arz-o-samawat ne jine na diya
gardish-e-arz-o-samāvāt ne jiine na diyā
kaT gayā din to hameñ raat ne jiine na diyā
kuchh mohabbat ko na thā chain se rakhnā manzūr
aur kuchh un kī ināyāt ne jiine na diyā
hādsa hai ki tire sar pe na ilzām aayā
vāqi.a hai ki tirī zaat ne jiine na diyā
'kaif' ke bhūlne vaale ko ḳhabar ho ki use
sadma-e-tark-e-mulāqāt ne jiine na diyā
gardish-e-arz-o-samawat ne jine na diya
kaT gaya din to hamein raat ne jine na diya
kuchh mohabbat ko na tha chain se rakhna manzur
aur kuchh un ki inayat ne jine na diya
hadsa hai ki tere sar pe na ilzam aaya
waqia hai ki teri zat ne jine na diya
'kaif' ke bhulne wale ko KHabar ho ki use
sadma-e-tark-e-mulaqat ne jine na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.