gardish-e-mina-o-jam dekhiye kab tak rahe
gardish-e-mīnā-o-jām dekhiye kab tak rahe
ham pe taqāzā harām dekhiye kab tak rahe
terā sitam ham pe aam dekhiye kab tak rahe
talḳhī-e-daurāñ pe naam dekhiye kab tak rahe
chhā ga.iiñ tārīkiyāñ kho gayā husn-e-nazar
va.ada-e-dīdār-e-ām dekhiye kab tak rahe
ahl-e-ḳhirad sust-rau ahl-e-junūñ tez-gām
shauq kā ye ehtimām dekhiye kab tak rahe
sub.h ke sūraj kī zau dekhiye kab tak na aa.e
dahr pe ye rañg-e-shām dekhiye kab tak rahe
gardish-e-mina-o-jam dekhiye kab tak rahe
hum pe taqaza haram dekhiye kab tak rahe
tera sitam hum pe aam dekhiye kab tak rahe
talKHi-e-dauran pe nam dekhiye kab tak rahe
chha gain tarikiyan kho gaya husn-e-nazar
wada-e-didar-e-am dekhiye kab tak rahe
ahl-e-KHirad sust-rau ahl-e-junun tez-gam
shauq ka ye ehtimam dekhiye kab tak rahe
subh ke suraj ki zau dekhiye kab tak na aae
dahr pe ye rang-e-sham dekhiye kab tak rahe
- Book : Sham ka Pahla Tara (Pg. 94)
- Author : ZEHRA NIGAAH
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.