ghar se nikla to mulaqat hui pani se
ghar se niklā to mulāqāt huī paanī se
kahāñ miltī hai ḳhushī itnī farāvānī se
ḳhush-libāsī hai baḌī chiiz magar kyā kījiye
kaam is pal hai tire jism kī uryānī se
sāmne aur hī dīvār o shajar paatā huuñ
jaag uThtā huuñ agar ḳhvāb-e-jahāñbānī se
umr kā koh-e-girāñ aur shab-o-roz mire
ye vo patthar hai jo kaTtā nahīñ āsānī se
shaam thī aur shafaq phuuT rahī thī 'sarvat'
ek raqqāsa kī jaltī huī peshānī se
ghar se nikla to mulaqat hui pani se
kahan milti hai KHushi itni farawani se
KHush-libasi hai baDi chiz magar kya kijiye
kaam is pal hai tere jism ki uryani se
samne aur hi diwar o shajar pata hun
jag uThta hun agar KHwab-e-jahanbani se
umr ka koh-e-giran aur shab-o-roz mere
ye wo patthar hai jo kaTta nahin aasani se
sham thi aur shafaq phuT rahi thi 'sarwat'
ek raqqasa ki jalti hui peshani se
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 42)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.