Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain

Obaidur Rahman

hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain

Obaidur Rahman

hai aaj añdherā har jānib aur nuur bāteñ karte haiñ

nazdīk bātoñ se ḳhā.if ham duur bāteñ karte haiñ

ta.amīr-o-taraqqī vaale haiñ kahiye bhī to un ko kyā kahiye

jo shīsh-mahal meñ baiThe hue mazdūr bāteñ karte haiñ

ye log vahī haiñ jo kal tak tanzīm-e-chaman ke dushman the

ab aaj hamāre muñh par ye dastūr bāteñ karte haiñ

ik bhaa.ī ko duuje bhaa.ī se laḌne jo dete haiñ paiġhām

vo log na jaane phir kaise jamhūr bāteñ karte haiñ

ik ḳhvāb vaadī hai jis meñ rahte haiñ hamesha kho.e hue

dhartī pe nahīñ haiñ jin ke qadam vo tuur bāteñ karte haiñ

ham ko ye gila mahbūb unheñ afsāna-e-bazm-e-aish-o-tarab

shikva ye unheñ ham un se dil-e-ranjūr bāteñ karte haiñ

kyā ḳhuub adā hai un 'obaid' andāz-e-karam hai kitnā hasīñ

majbūr ke haq se nā-vāqif majbūr bāteñ karte haiñ

hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain

nazdik ki baaton se KHaif hum dur ki baaten karte hain

tamir-o-taraqqi wale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye

jo shish-mahal mein baiThe hue mazdur ki baaten karte hain

ye log wahi hain jo kal tak tanzim-e-chaman ke dushman the

ab aaj hamare munh par ye dastur ki baaten karte hain

ek bhai ko duje bhai se laDne ka jo dete hain paigham

wo log na jaane phir kaise jamhur ki baaten karte hain

ek KHwab ki wadi hai jis mein rahte hain hamesha khoe hue

dharti pe nahin hain jin ke qadam wo tur ki baaten karte hain

hum ko ye gila mahbub unhen afsana-e-bazm-e-aish-o-tarab

shikwa ye unhen hum un se dil-e-ranjur ki baaten karte hain

kya KHub ada hai un ki 'obaid' andaz-e-karam hai kitna hasin

majbur ke haq se na-waqif majbur ki baaten karte hain

Source :
  • Book : Aawaz Ke Saye (Poetry) (Pg. 33)
  • Author : Obaidur Rahman
  • Publication : Sehla Obaid (2001)
  • Edition : 2001
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now