hua KHatm dariya to sahra laga
huā ḳhatm dariyā to sahrā lagā
safar kā tasalsul kahāñ jā lagā
'ajab raat bastī kā naqsha lagā
har ik naqsh andar se TuuTā lagā
tumhārā hazāroñ se rishta lagā
kaho sā.īñ kā kaam kaisā lagā
abhī khiñch hī jaatī lahū kī dhanak
miyāñ tiir Tuk terā tirchhā lagā
lahū meñ utartī rahī chāñdnī
badan raat kā kitnā ThanDā lagā
ta'ajjub ke sūrāḳh se dekhte
añdhere meñ kaise nishāna lagā
hua KHatm dariya to sahra laga
safar ka tasalsul kahan ja laga
'ajab raat basti ka naqsha laga
har ek naqsh andar se TuTa laga
tumhaara hazaron se rishta laga
kaho sain ka kaam kaisa laga
abhi khinch hi jati lahu ki dhanak
miyan tir Tuk tera tirchha laga
lahu mein utarti rahi chandni
badan raat ka kitna ThanDa laga
ta'ajjub ke suraKH se dekhte
andhere mein kaise nishana laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.