is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai
is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
is ālam-e-vīrāñ meñ kyā anjuman-ārā.ī
do roz kī mahfil hai ik 'umr kī tanhā.ī
phailī haiñ fazāoñ meñ is tarah tirī yādeñ
jis samt nazar uTThī āvāz tirī aa.ī
ik naaz bhare dil meñ ye 'ishq kā hangāma
ik gosha-e-ḳhalvat meñ ye dasht kī pahnā.ī
auroñ kī mohabbat ke dohrā.e haiñ afsāne
baat apnī mohabbat kī hoñToñ pe nahīñ aa.ī
afsūn-e-tamannā se bedār huī āḳhir
kuchh husn meñ be-tābī kuchh 'ishq meñ zebā.ī
vo mast nigāheñ haiñ yā vajd meñ raqsāñ hai
tasnīm kī lahroñ meñ firdaus kī rā'nā.ī
in madh-bharī āñkhoñ meñ kyā sehr 'tabassum' thā
nazroñ meñ mohabbat kī duniyā hī simaT aa.ī
is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai
do roz ki mahfil hai ek 'umr ki tanhai
phaili hain fazaon mein is tarah teri yaaden
jis samt nazar uTThi aawaz teri aai
ek naz bhare dil mein ye 'ishq ka hangama
ek gosha-e-KHalwat mein ye dasht ki pahnai
auron ki mohabbat ke dohrae hain afsane
baat apni mohabbat ki honTon pe nahin aai
afsun-e-tamanna se bedar hui aaKHir
kuchh husn mein be-tabi kuchh 'ishq mein zebai
wo mast nigahen hain ya wajd mein raqsan hai
tasnim ki lahron mein firdaus ki ra'nai
in madh-bhari aankhon mein kya sehr 'tabassum' tha
nazron mein mohabbat ki duniya hi simaT aai
- Book : sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.