kuchh roz dil-o-zehn pe tari to rahegi
kuchh roz dil-o-zehn pe taarī to rahegī
dekhī haiñ vo āñkheñ so ḳhumārī to rahegī
zinda na rahūñgā maiñ tire baa'd ye tai hai
sāñsoñ kī mashaqqat vale jaarī to rahegī
chal paao agar is ko uThā kar to uThāo
gaThrī hai miyāñ 'ishq kī bhārī to rahegī
us kā baḌā ehsāñ hai taḳhayyul pe hamāre
kitne bhī kaheñ she'r udhārī to rahegī
yārāna magar pahle sā mumkin nahīñ hogā
kahne ke liye aap se yaarī to rahegī
naam aur kahīñ 'bhāskar' aa.e ki na aa.e
par us ke divānoñ meñ shumārī to rahegī
kuchh roz dil-o-zehn pe tari to rahegi
dekhi hain wo aankhen so KHumari to rahegi
zinda na rahunga main tere ba'd ye tai hai
sanson ki mashaqqat wale jari to rahegi
chal pao agar is ko uTha kar to uThao
gaThri hai miyan 'ishq ki bhaari to rahegi
us ka baDa ehsan hai taKHayyul pe hamare
kitne bhi kahen she'r udhaari to rahegi
yarana magar pahle sa mumkin nahin hoga
kahne ke liye aap se yari to rahegi
nam aur kahin 'bhaskar' aae ki na aae
par us ke diwanon mein shumari to rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.