jaane kyun ghar mein mere dasht-o-bayaban chhoD kar
jaane kyuuñ ghar meñ mire dasht-o-bayābāñ chhoḌ kar
baiThtī haiñ be-sar-o-sāmāniyāñ sar joḌ kar
kitnī nazreñ kitnī aaseñ kitnī āvāzeñ yahāñ
lauT jaatī haiñ dar-o-dīvār se sar phoḌ kar
jaane kis kī khoj meñ paiham bagūle aaj kal
phir rahe haiñ shahr kī galiyoñ meñ sahrā chhoḌ kar
mujh pe patthar pheñkne vāloñ ko tere shahr meñ
narm-o-nāzuk haath bhī dete haiñ patthar toḌ kar
bas rahā huuñ aaj us māhaul meñ 'sājid' jahāñ
log bārātoñ meñ jaate haiñ janāze chhoḌ kar
jaane kyun ghar mein mere dasht-o-bayaban chhoD kar
baiThti hain be-sar-o-samaniyan sar joD kar
kitni nazren kitni aasen kitni aawazen yahan
lauT jati hain dar-o-diwar se sar phoD kar
jaane kis ki khoj mein paiham bagule aaj kal
phir rahe hain shahr ki galiyon mein sahra chhoD kar
mujh pe patthar phenkne walon ko tere shahr mein
narm-o-nazuk hath bhi dete hain patthar toD kar
bas raha hun aaj us mahaul mein 'sajid' jahan
log baraaton mein jate hain janaze chhoD kar
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 185)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.