jab main suna ki yar ka dil mujhse haT gaya
jab maiñ sunā ki yaar kā dil mujh se haT gayā
sunte hī is ke merā kaleja ulaT gayā
farhād thā to shīrīñ ke ġham meñ muā ġharīb
lailā ke ġham meñ aan ke majnūñ bhī laT gayā
maiñ ishq kā jalā huuñ mirā kuchh nahīñ ilaaj
vo peḌ kyā harā ho jo jaḌ se ukhaT gayā
itnā koī kahe ki divāne paḌā hai kyā
jā dekh abhī udhar koī pariyoñ kā ġhaT gayā
chhīnā thā dil ko chashm ne lekin maiñ kyā karūñ
uupar hī uupar us saf-e-mizhgāñ meñ paT gayā
kyā kheltā hai naT kī kalā āñkhoñ āñkhoñ meñ
dil saaf le liyā hai jo pūchhā to naT gayā
āñkhoñ meñ merī sub.h-e-qayāmat ga.ī jhamak
siine se us parī ke jo parda ulaT gayā
sun kar lagī ye kahne vo ayyār-e-nāznīñ
''kyā boleñ chal hamārā to dil tujh se phaT gayā''
jab maiñ ne us sanam se kahā kyā sabab hai jaan
iḳhlās ham se kam huā aur pyaar ghaT gayā
aisī vo bhārī mujh se huī kaun sī ḳhatā
jis se ye dil udaas huā jī uchaT gayā
āñkheñ tumhārī kyā phirīñ us vaqt merī jaan
sach pūchhiye to mujh se zamāna ulaT gayā
ushshāq jāñ-nisāroñ meñ maiñ to imaam huuñ
ye kah ke maiñ jo us ke gale se lipaT gayā
kitnā hī us ne tan ko chhuḌāyā jhiḌak jhiḌak
par maiñ bhī qaiñchī bāñdh ke aisā chimaT gayā
ye kashmakash huī ki garebāñ mirā udhar
TukḌe huā aur us kā dupaTTa bhī phaT gayā
āḳhir isī bahāne milā yaar se 'nazīr'
kapḌe balā se phaT ga.e saudā to paT gayā
jab main suna ki yar ka dil mujh se haT gaya
sunte hi is ke mera kaleja ulaT gaya
farhad tha to shirin ke gham mein mua gharib
laila ke gham mein aan ke majnun bhi laT gaya
main ishq ka jala hun mera kuchh nahin ilaj
wo peD kya hara ho jo jaD se ukhaT gaya
itna koi kahe ki diwane paDa hai kya
ja dekh abhi udhar koi pariyon ka ghaT gaya
chhina tha dil ko chashm ne lekin main kya karun
upar hi upar us saf-e-mizhgan mein paT gaya
kya khelta hai naT ki kala aankhon aankhon mein
dil saf le liya hai jo puchha to naT gaya
aankhon mein meri subh-e-qayamat gai jhamak
sine se us pari ke jo parda ulaT gaya
sun kar lagi ye kahne wo ayyar-e-naznin
kya bolen chal hamara to dil tujh se phaT gaya
jab main ne us sanam se kaha kya sabab hai jaan
iKHlas hum se kam hua aur pyar ghaT gaya
aisi wo bhaari mujh se hui kaun si KHata
jis se ye dil udas hua ji uchaT gaya
aankhen tumhaari kya phirin us waqt meri jaan
sach puchhiye to mujh se zamana ulaT gaya
ushshaq jaan-nisaron mein main to imam hun
ye kah ke main jo us ke gale se lipaT gaya
kitna hi us ne tan ko chhuDaya jhiDak jhiDak
par main bhi qainchi bandh ke aisa chimaT gaya
ye kashmakash hui ki gareban mera udhar
TukDe hua aur us ka dupaTTa bhi phaT gaya
aaKHir isi bahane mila yar se 'nazir'
kapDe bala se phaT gae sauda to paT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.