Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai

Zafar Iqbal

jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    jahāñ mere na hone nishāñ phailā huā hai

    samajhtā huuñ ġhubār-e-āsmāñ phailā huā hai

    maiñ is ko dekhne aur bhuul jaane meñ magan huuñ

    mire aage jo ye ḳhvāb-e-ravāñ phailā huā hai

    inhī do hairatoñ ke darmiyāñ maujūd huuñ maiñ

    sar-e-āb-e-yaqīñ aks-e-gumāñ phailā huā hai

    rihā.ī koī sūrat nikalnī chāhiye ab

    zamīñ sahmī huī hai aur dhuāñ phailā huā hai

    koī andāza kar saktā hai kyā is ki āḳhir

    kahāñ tak sāya-e-ahd-e-ziyāñ phailā huā hai

    kahāñ Duube kidhar ubhre badan naav dekheñ

    ki itnī duur tak dariyā-e-jāñ phailā huā hai

    maiñ dil se bhaag kar bhī kahāñ saktā huuñ āḳhir

    mire har ye dasht-e-be-amāñ phailā huā hai

    mujhe kuchh bhī nahīñ mālūm aur andar andar

    lahū meñ ek dast-e-rā.egāñ phailā huā hai

    'zafar' ab ke suḳhan sarzamīñ par hai ye mausam

    bayāñ ġhā.eb hai aur rañg-e-bayāñ phailā huā hai

    jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai

    samajhta hun ghubar-e-asman phaila hua hai

    main is ko dekhne aur bhul jaane mein magan hun

    mere aage jo ye KHwab-e-rawan phaila hua hai

    inhi do hairaton ke darmiyan maujud hun main

    sar-e-ab-e-yaqin aks-e-guman phaila hua hai

    rihai ki koi surat nikalni chahiye ab

    zamin sahmi hui hai aur dhuan phaila hua hai

    koi andaza kar sakta hai kya is ka ki aaKHir

    kahan tak saya-e-ahd-e-ziyan phaila hua hai

    kahan Dube kidhar ubhre badan ki naw dekhen

    ki itni dur tak dariya-e-jaan phaila hua hai

    main dil se bhag kar ja bhi kahan sakta hun aaKHir

    mere har su ye dasht-e-be-aman phaila hua hai

    mujhe kuchh bhi nahin malum aur andar hi andar

    lahu mein ek dast-e-raegan phaila hua hai

    'zafar' ab ke suKHan ki sarzamin par hai ye mausam

    bayan ghaeb hai aur rang-e-bayan phaila hua hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now