jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae
jhūTī hī tasallī ho kuchh dil to bahal jaa.e
dhuñdlī hī sahī lekin ik sham.a to jal jaa.e
is mauj kī Takkar se sāhil bhī laraztā hai
kuchh roz to tūfāñ kī āġhosh meñ pal jaa.e
majbūri-e-sāqī bhī ai tishna-labo samjho
vaa.iz kā ye manshā hai mai-ḳhvāroñ meñ chal jaa.e
ai jalva-e-jānāna phir aisī jhalak dikhlā
hasrat bhī rahe baaqī armāñ bhī nikal jaa.e
is vāste chheḌā hai parvānoñ kā afsāna
shāyad tire kānoñ tak paiġhām-e-amal jaa.e
mai-ḳhāna-e-hastī meñ mai-kash vahī mai-kash hai
sañbhle to bahak jaa.e bahke to sañbhal jaa.e
ham ne to 'fanā' itnā mafhūm-e-ġhazal samjhā
ḳhud zindagī-e-shā'ir ash.ār meñ Dhal jaa.e
jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae
dhundli hi sahi lekin ek shama to jal jae
is mauj ki Takkar se sahil bhi larazta hai
kuchh roz to tufan ki aaghosh mein pal jae
majburi-e-saqi bhi ai tishna-labo samjho
waiz ka ye mansha hai mai-KHwaron mein chal jae
ai jalwa-e-jaanana phir aisi jhalak dikhla
hasrat bhi rahe baqi arman bhi nikal jae
is waste chheDa hai parwanon ka afsana
shayad tere kanon tak paigham-e-amal jae
mai-KHana-e-hasti mein mai-kash wahi mai-kash hai
sanbhle to bahak jae bahke to sanbhal jae
hum ne to 'fana' itna mafhum-e-ghazal samjha
KHud zindagi-e-sha'ir ashaar mein Dhal jae
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 39)
- Author : devendra issar
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
- Edition : 1963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.