Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jin raaton mein nind uD jati hai kya qahr ki raaten hoti hain

Arzoo Lakhnavi

jin raaton mein nind uD jati hai kya qahr ki raaten hoti hain

Arzoo Lakhnavi

jin rātoñ meñ niiñd uḌ jaatī hai kyā qahr rāteñ hotī haiñ

darvāzoñ se Takrā jaate haiñ dīvāroñ se bāteñ hotī haiñ

āshob-e-judā.ī kyā kahiye an-honī bāteñ hotī haiñ

āñkhoñ meñ añdherā chhātā hai jab ujālī rāteñ hotī haiñ

jab vo nahīñ hote pahlū meñ aur lambī rāteñ hotī haiñ

yaad aa ke satātī rahtī hai aur dil se bāteñ hotī haiñ

ghir ghir ke bādal aate haiñ aur be-barse khul jaate haiñ

ummīdoñ jhūTī duniyā meñ sūkhī barsāteñ hotī haiñ

ummīd sūraj Duubā hai āñkhoñ meñ añdherā chhāyā hai

duniyā-e-firāq meñ din kaisā rāteñ rāteñ hotī haiñ

tai karnā haiñ jhagḌe jiine ke jis tarah bane kahte sunte

bahroñ se bhī paalā paḌtā hai gūñgoñ se bhī bāteñ hotī haiñ

āñkhoñ meñ kahāñ ras būñdeñ kuchh hai to lahū laalī hai

is badlī huī rut meñ ab to ḳhūnīñ barsāteñ hotī haiñ

qismat jaage to ham so.eñ qismat so.e to ham jāgeñ

donoñ ko niiñd aa.e jis meñ kab aisī rāteñ hotī haiñ

jo kaan lagā kar sunte haiñ kyā jāneñ rumūz mohabbat ke

ab hoñT nahīñ hilne paate aur pahroñ bāteñ hotī haiñ

jo naaz hai vo apnātā hai jo ġhamza hai vo lubhātā hai

in rañg-birañgī pardoñ meñ ghātoñ par ghāteñ hotī haiñ

hañsne meñ jo aañsū aate haiñ nairañg-e-jahāñ batlāte haiñ

har roz janāze jaate haiñ har roz barāteñ hotī haiñ

jo kuchh bhī ḳhushī se hotā hai ye dil bojh na ban jaa.e

paimān-e-vafā bhī rahne do sab jhūTī bāteñ hotī haiñ

jab tak hai diloñ meñ sachchā.ī sab nāz-o-niyāz vahīñ tak haiñ

jab ḳhud-ġharzī aa jaatī hai jul hote haiñ ghāteñ hotī haiñ

himmat kis hai jo pūchhe ye 'ārzū'-e-saudā.ī se

kyuuñ sāhab āḳhir akele meñ ye kis se bāteñ hotī haiñ

jin raaton mein nind uD jati hai kya qahr ki raaten hoti hain

darwazon se Takra jate hain diwaron se baaten hoti hain

aashob-e-judai kya kahiye an-honi baaten hoti hain

aankhon mein andhera chhata hai jab ujali raaten hoti hain

jab wo nahin hote pahlu mein aur lambi raaten hoti hain

yaad aa ke satati rahti hai aur dil se baaten hoti hain

ghir ghir ke baadal aate hain aur be-barse khul jate hain

ummidon ki jhuTi duniya mein sukhi barsaten hoti hain

ummid ka suraj Duba hai aankhon mein andhera chhaya hai

duniya-e-firaq mein din kaisa raaten hi raaten hoti hain

tai karna hain jhagDe jine ke jis tarah bane kahte sunte

bahron se bhi pala paDta hai gungon se bhi baaten hoti hain

aankhon mein kahan ras ki bunden kuchh hai to lahu ki lali hai

is badli hui rut mein ab to KHunin barsaten hoti hain

qismat jage to hum soen qismat soe to hum jagen

donon hi ko nind aae jis mein kab aisi raaten hoti hain

jo kan laga kar sunte hain kya jaanen rumuz mohabbat ke

ab honT nahin hilne pate aur pahron baaten hoti hain

jo naz hai wo apnata hai jo ghamza hai wo lubhata hai

in rang-birangi pardon mein ghaton par ghaten hoti hain

hansne mein jo aansu aate hain nairang-e-jahan batlate hain

har roz janaze jate hain har roz baraaten hoti hain

jo kuchh bhi KHushi se hota hai ye dil ka bojh na ban jae

paiman-e-wafa bhi rahne do sab jhuTi baaten hoti hain

jab tak hai dilon mein sachchai sab naz-o-niyaz wahin tak hain

jab KHud-gharzi aa jati hai jul hote hain ghaten hoti hain

himmat kis ki hai jo puchhe ye 'arzu'-e-saudai se

kyun sahab aaKHir akele mein ye kis se baaten hoti hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now