jo chiz thi kamre mein wo be-rabt paDi thi
jo chiiz thī kamre meñ vo be-rabt paḌī thī
tanhā.ī-e-shab band-e-qabā khol rahī thī
āvāz kī dīvār bhī chup-chāp khaḌī thī
khiḌkī se jo dekhā to galī uuñgh rahī thī
bāloñ ne tirā lams to mahsūs kiyā thā
lekin ye ḳhabar dil ne baḌī der se dī thī
hāthoñ meñ nayā chāñd paḌā haañp rahā thā
rānoñ pe barahna sī namī reñg rahī thī
yādoñ ne use toḌ diyā maar ke patthar
ā.īne kī ḳhandaq meñ jo parchhā.īñ paḌī thī
duniyā kī guzarte hue paḌtī thiiñ nigāheñ
shīshe kī jagah khiḌkī meñ rusvā.ī jaḌī thī
TuuTī huī mehrāb se gumbad ke khañDar tak
ik būḌhe mo.azzin kī sadā guuñj rahī thī
jo chiz thi kamre mein wo be-rabt paDi thi
tanhai-e-shab band-e-qaba khol rahi thi
aawaz ki diwar bhi chup-chap khaDi thi
khiDki se jo dekha to gali ungh rahi thi
baalon ne tera lams to mahsus kiya tha
lekin ye KHabar dil ne baDi der se di thi
hathon mein naya chand paDa hanp raha tha
ranon pe barahna si nami reng rahi thi
yaadon ne use toD diya mar ke patthar
aaine ki KHandaq mein jo parchhain paDi thi
duniya ki guzarte hue paDti thin nigahen
shishe ki jagah khiDki mein ruswai jaDi thi
TuTi hui mehrab se gumbad ke khanDar tak
ek buDhe moazzin ki sada gunj rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.