kab se hai intizar aa jao
kab se hai intizār aa jaao
kam se kam ek baar aa jaao
phir ye din lauT kar na ā.eñge
jā rahī hai bahār aa jaao
mere chāroñ taraf hai tanhā.ī
toḌ kar ye hisār aa jaao
mere ghar ke tamām darvāze
tum se karte haiñ pyaar aa jaao
bhiiḌ kam ho rahī hai logoñ kī
chhaT rahā hai ġhubār aa jaao
in dinoñ ittifāq se merā
vaqt hai sāzgār aa jaao
chāhiye aadmī ko duniyā meñ
ik na ik ġham-gusār aa jaao
agar aane kā iḳhtiyār nahīñ
aao be iḳhtiyār aa jaao
baiThe baiThe ye chāhtā hai 'sha'ūr'
tum havā par savār aa jaao
kab se hai intizar aa jao
kam se kam ek bar aa jao
phir ye din lauT kar na aaenge
ja rahi hai bahaar aa jao
mere chaaron taraf hai tanhai
toD kar ye hisar aa jao
mere ghar ke tamam darwaze
tum se karte hain pyar aa jao
bhiD kam ho rahi hai logon ki
chhaT raha hai ghubar aa jao
in dinon ittifaq se mera
waqt hai sazgar aa jao
chahiye aadmi ko duniya mein
ek na ek gham-gusar aa jao
agar aane ka iKHtiyar nahin
aao be iKHtiyar aa jao
baiThe baiThe ye chahta hai 'sha'ur'
tum hawa par sawar aa jao
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 36)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.