kabhi sarab karega kabhi ghubar karega
kabhī sarāb karegā kabhī ġhubār karegā
ye dasht-e-jāñ hai miyāñ ye kahāñ qarār karegā
abhī ye biij ke mānind phūTtā huā dukh hai
bahut dinoñ meñ koī shakl iḳhtiyār karegā
ye ḳhud-pasand sā ġham hai so ye umiid bhī kam hai
ki apne bhed kabhī tujh pe āshkār karegā
tamām umr yahāñ kis kā intizār huā hai
tamām umr mirā kaun intizār karegā
nashe kī tarah mohabbat bhī tark hotī nahīñ hai
jo ek baar karegā vo baar baar karegā
kabhi sarab karega kabhi ghubar karega
ye dasht-e-jaan hai miyan ye kahan qarar karega
abhi ye bij ke manind phuTta hua dukh hai
bahut dinon mein koi shakl iKHtiyar karega
ye KHud-pasand sa gham hai so ye umid bhi kam hai
ki apne bhed kabhi tujh pe aashkar karega
tamam umr yahan kis ka intizar hua hai
tamam umr mera kaun intizar karega
nashe ki tarah mohabbat bhi tark hoti nahin hai
jo ek bar karega wo bar bar karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.