kal raat wo jhagaDti rahi baat baat par
kal raat vo jhagaḌtī rahī baat baat par
aur maiñ kitāb likhtā rahā kā.enāt par
kyā sochiye ki soch se aage hai zindagī
pahre lagā rakhe haiñ kisī ne hayāt par
kyā dāstāñ sunā.iye us ke visāl kī
kyā tabsira kare koī sahrā kī raat par
shāyad merī anā mire lahje pe hai muhīt
shak ho rahā hai us ko mire iltifāt par
tere baġhair lagtā hai goyā ye zindagī
tanqīd kar rahī hai merī ḳhvāhishāt par
phir us ne merī ḳhū meñ mujhe qaid kar diyā
ik ḳhvāb sā lapeT diyā merī zaat par
kal raat wo jhagaDti rahi baat baat par
aur main kitab likhta raha kaenat par
kya sochiye ki soch se aage hai zindagi
pahre laga rakhe hain kisi ne hayat par
kya dastan sunaiye us ke visal ki
kya tabsira kare koi sahra ki raat par
shayad meri ana mere lahje pe hai muhit
shak ho raha hai us ko mere iltifat par
tere baghair lagta hai goya ye zindagi
tanqid kar rahi hai meri KHwahishat par
phir us ne meri KHu mein mujhe qaid kar diya
ek KHwab sa lapeT diya meri zat par
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.