kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu
kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
kis se ahvāl kahūñ apnā maiñ ai yaar ki tū
mil ke aġhyār se mujh se hai bezār ki tū
na merī baat ko pūchhe hai na dekhe hai idhar
ek din ye na kiyā āshiq-e-bīmār ki tū
roz bā-dīda-tar ḳhaak basar phirtā hai
na rahā shahr meñ ik kūcha-o-bāzār ki tū
vahāñ haiñ jā ke jatātā hai ye musībat apnī
aaj tak kul haiñ dil ko tere zinhār ki tū
saḳht bekal hai nikal kūcha-e-ġham se ab to
is qadar kab hai aziyyat kā sazā-vār ki tū
yūñhī fariyād-kunāñ na.ara-zanān ḳhaak basar hai
ik shab ā.ī.yo mere pas-e-dīvār ki tū
chaah meñ terī hī Duubā hai kuñ.eñ meñ ġham ke
juuñ zuleḳhā haiñ yūsuf kā talabgār ki tū
merā ehsān hai merā āshiq-e-sādiq hai sanam
jabki ye bhī na ho maiñ paḌhūñ ash'ār ki tū
kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu
mil ke aghyar se mujh se hai bezar ki tu
na meri baat ko puchhe hai na dekhe hai idhar
ek din ye na kiya aashiq-e-bimar ki tu
roz ba-dida-tar KHak basar phirta hai
na raha shahr mein ek kucha-o-bazar ki tu
wahan hain ja ke jatata hai ye musibat apni
aaj tak kul hain dil ko tere zinhaar ki tu
saKHt bekal hai nikal kucha-e-gham se ab to
is qadar kab hai aziyyat ka saza-war ki tu
yunhi fariyaad-kunan nara-zanan KHak basar hai
ek shab aaiyo mere pas-e-diwar ki tu
chah mein teri hi Duba hai kunen mein gham ke
jun zuleKHa hain yusuf ka talabgar ki tu
mera ehsan hai mera aashiq-e-sadiq hai sanam
jabki ye bhi na ho main paDhun ash'ar ki tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.