koi diwar salamat hai na ab chhat meri
koī dīvār salāmat hai na ab chhat merī
ḳhāna-e-ḳhasta kī sūrat huī hālat merī
mere sajdoñ se munavvar hai tirī rāhguzar
merī peshānī pe raushan hai sadāqat merī
aur kuchh der yūñhī mujh ko taḌapne dete
aap ne chhīn lī kyuuñ hijr kī lazzat merī
ye alag baat ki maiñ fāteh-e-āzam Thahrā
varna hotī rahī har gaam hazīmat merī
maiñ ne har lamha na.ī jast lagā.ī 'aslam'
mujh se vābasta rahī phir bhī rivāyat merī
koi diwar salamat hai na ab chhat meri
KHana-e-KHasta ki surat hui haalat meri
mere sajdon se munawwar hai teri rahguzar
meri peshani pe raushan hai sadaqat meri
aur kuchh der yunhi mujh ko taDapne dete
aap ne chhin li kyun hijr ki lazzat meri
ye alag baat ki main fateh-e-azam Thahra
warna hoti rahi har gam hazimat meri
main ne har lamha nai jast lagai 'aslam'
mujh se wabasta rahi phir bhi riwayat meri
- Book : Mukhtalif (Pg. 118)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.