koi Takra ke subuk-sar bhi to ho sakta hai
koī Takrā ke subuk-sar bhī to ho saktā hai
merī ta.amīr meñ patthar bhī to ho saktā hai
kyuuñ na ai shaḳhs tujhe haath lagā kar dekhūñ
tū mire vahm se baḌh kar bhī to ho saktā hai
tū hī tū hai to phir ab jumla jamāl-e-duniyā
terā shak aur kisī par bhī to ho saktā hai
ye jo hai phuul hathelī pe ise phuul na jaan
merā dil jism se bāhar bhī to ho saktā hai
shāḳh par baiThe parinde ko uḌāne vaale
peḌ ke haath meñ patthar bhī to ho saktā hai
kyā zarūrī hai ki bāhar hī numū ho merī
merā khilnā mire andar bhī to ho saktā hai
ye jo hai ret kā Tiila mire qadmoñ ke tale
koī dam meñ mire uupar bhī to ho saktā hai
kyā zarūrī hai ki ham haar ke jīteñ 'tābish'
ishq kā khel barābar bhī to ho saktā hai
koi Takra ke subuk-sar bhi to ho sakta hai
meri tamir mein patthar bhi to ho sakta hai
kyun na ai shaKHs tujhe hath laga kar dekhun
tu mere wahm se baDh kar bhi to ho sakta hai
tu hi tu hai to phir ab jumla jamal-e-duniya
tera shak aur kisi par bhi to ho sakta hai
ye jo hai phul hatheli pe ise phul na jaan
mera dil jism se bahar bhi to ho sakta hai
shaKH par baiThe parinde ko uDane wale
peD ke hath mein patthar bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki bahar hi numu ho meri
mera khilna mere andar bhi to ho sakta hai
ye jo hai ret ka Tila mere qadmon ke tale
koi dam mein mere upar bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki hum haar ke jiten 'tabish'
ishq ka khel barabar bhi to ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.