laya hai yahi jurm sar-e-dar mujhe bhi
laayā hai yahī jurm sar-e-dār mujhe bhī
detā thā dikhā.ī pas-e-dīvār mujhe bhī
us kī bhī mirī tarah thī ik apnī kahānī
us ko bhī nibhānā paḌā kirdār mujhe bhī
us ne to jo khoyā thā anā meñ so vo khoyā
thī zahr-e-halāhal mai-e-pindār mujhe bhī
rakkhā hai bharam 'ishq kā har haal meñ varna
laayā thā muqābil tire inkār mujhe bhī
mujh meñ bhī chahakte haiñ kisī yaad ke panchhī
ab apnā samajhte haiñ ye ashjār mujhe bhī
kyā tujh se laḌā.ī ho ki ḳhud apnī safoñ meñ
aate haiñ nazar tere taraf-dār mujhe bhī
shāyad ki nishānī vo koī bhāñp gayā thā
detā thā bahut hausla bīmār mujhe bhī
lekin mire raste meñ faqat taḳht nahīñ thā
jangal to bujhātā rahā ghar-bār mujhe bhī
'jāzib' jo har ik qaid se detī hai rihā.ī
mastī vahī rakhtī hai giraftār mujhe bhī
laya hai yahi jurm sar-e-dar mujhe bhi
deta tha dikhai pas-e-diwar mujhe bhi
us ki bhi meri tarah thi ek apni kahani
us ko bhi nibhana paDa kirdar mujhe bhi
us ne to jo khoya tha ana mein so wo khoya
thi zahr-e-halahal mai-e-pindar mujhe bhi
rakkha hai bharam 'ishq ka har haal mein warna
laya tha muqabil tere inkar mujhe bhi
mujh mein bhi chahakte hain kisi yaad ke panchhi
ab apna samajhte hain ye ashjar mujhe bhi
kya tujh se laDai ho ki KHud apni safon mein
aate hain nazar tere taraf-dar mujhe bhi
shayad ki nishani wo koi bhanp gaya tha
deta tha bahut hausla bimar mujhe bhi
lekin mere raste mein faqat taKHt nahin tha
jangal to bujhata raha ghar-bar mujhe bhi
'jazib' jo har ek qaid se deti hai rihai
masti wahi rakhti hai giraftar mujhe bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.