Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai

Hafeez Banarasi

lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai

Hafeez Banarasi

lab-e-furāt vahī tishnagī manzar hai

vahī husain vahī qātiloñ lashkar hai

ye kis maqām pe laa.ī hai zindagī ham ko

hañsī laboñ pe hai siine meñ ġham daftar hai

yaqīn kis pe kareñ kis ko dost Thahrā.eñ

har āstīn meñ poshīda koī ḳhanjar hai

gila nahīñ mire hoñToñ pe tañg-dastī

ḳhudā shukr mirā dil abhī tavañgar hai

koī to hai jo dhaḌaktā hai zindagī ban kar

koī to hai jo hamāre diloñ ke andar hai

use qarīb se dekhā to ye huā mālūm

vo bū-e-gul nahīñ shamshīr-e-bād-e-sarsar hai

samajh ke aag lagānā hamāre ghar meñ tum

hamāre ghar ke barābar tumhārā bhī ghar hai

mirī jabīñ ko haqārat se dekhne vaale

mirī jabīñ se tirā āstāñ munavvar hai

tumhāre qurb lazzat nasīb hai jis ko

vo ek lamha hayāt-e-abad se behtar hai

hamārā jurm yahī hai ki haq-parast haiñ ham

hamāre ḳhuun pyāsā har ek ḳhanjar hai

vo mere sāmne aa.e to kis tarah aa.e

koī libās hai us na koī paikar hai

har ik balā se bachā.e hue hai jo ham ko

hamāre sar pe ye maañ duā chādar hai

bhaTak rahā huuñ maiñ sadiyoñ se dasht-e-ġhurbat meñ

koī to mujh ko batā.e kahāñ mirā ghar hai

abhī 'hafīz' gulāboñ baat mat kiije

lahūluhān abhī gulsitāñ manzar hai

lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai

wahi husain wahi qatilon ka lashkar hai

ye kis maqam pe lai hai zindagi hum ko

hansi labon pe hai sine mein gham ka daftar hai

yaqin kis pe karen kis ko dost Thahraen

har aastin mein poshida koi KHanjar hai

gila nahin mere honTon pe tang-dasti ka

KHuda ka shukr mera dil abhi tawangar hai

koi to hai jo dhaDakta hai zindagi ban kar

koi to hai jo hamare dilon ke andar hai

use qarib se dekha to ye hua malum

wo bu-e-gul nahin shamshir-e-baad-e-sarsar hai

samajh ke aag lagana hamare ghar mein tum

hamare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai

meri jabin ko haqarat se dekhne wale

meri jabin se tera aastan munawwar hai

tumhaare qurb ki lazzat nasib hai jis ko

wo ek lamha hayat-e-abad se behtar hai

hamara jurm yahi hai ki haq-parast hain hum

hamare KHun ka pyasa har ek KHanjar hai

wo mere samne aae to kis tarah aae

koi libas hai us ka na koi paikar hai

har ek bala se bachae hue hai jo hum ko

hamare sar pe ye man ki dua ki chadar hai

bhaTak raha hun main sadiyon se dasht-e-ghurbat mein

koi to mujh ko batae kahan mera ghar hai

abhi 'hafiz' gulabon ki baat mat kije

lahuluhan abhi gulsitan ka manzar hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now