lahu mein rang lahrane lage hain
lahū meñ rang lahrāne lage haiñ
zamāne ḳhud ko duhrāne lage haiñ
paroñ meñ le ke be-hāsil uḌāneñ
parinde lauT kar aane lage haiñ
kahāñ hai qāfila bād-e-sabā kā
diloñ ke phuul murjhāne lage haiñ
khule jo ham-nashīnoñ ke garebāñ
ḳhud apne zaḳhm afsāne lage haiñ
kuchh aisā dard thā bāñg-e-jaras meñ
safar se qabl pachhtāne lage haiñ
kuchh aisī be-yaqīnī thī fazā meñ
jo apne the vo begāne lage haiñ
havā kā rang niilā ho rahā hai
chaman meñ saañp lahrāne lage haiñ
falak ke khet meñ khilte sitāre
zamīñ par aag barsāne lage haiñ
lab-e-zanjīr hai tā'bīr jin kī
vo sapne phir nazar aane lage haiñ
khulā hai raat kā tārīk jangal
aur andhe raah dikhlāne lage haiñ
chaman kī baaḌ thī jin kā Thikāna
dil-e-shabnam ko dhaḌkāne lage haiñ
bachāne aa.e the dīvār lekin
'imārat hī ko ab Dhāne lage haiñ
ḳhudā kā ghar tumhīñ samjho to samjho
hameñ to ye sanam-ḳhāne lage haiñ
lahu mein rang lahrane lage hain
zamane KHud ko duhrane lage hain
paron mein le ke be-hasil uDanen
parinde lauT kar aane lage hain
kahan hai qafila baad-e-saba ka
dilon ke phul murjhane lage hain
khule jo ham-nashinon ke gareban
KHud apne zaKHm afsane lage hain
kuchh aisa dard tha bang-e-jaras mein
safar se qabl pachhtane lage hain
kuchh aisi be-yaqini thi faza mein
jo apne the wo begane lage hain
hawa ka rang nila ho raha hai
chaman mein sanp lahrane lage hain
falak ke khet mein khilte sitare
zamin par aag barsane lage hain
lab-e-zanjir hai ta'bir jin ki
wo sapne phir nazar aane lage hain
khula hai raat ka tarik jangal
aur andhe rah dikhlane lage hain
chaman ki baD thi jin ka Thikana
dil-e-shabnam ko dhaDkane lage hain
bachane aae the diwar lekin
'imarat hi ko ab Dhane lage hain
KHuda ka ghar tumhin samjho to samjho
hamein to ye sanam-KHane lage hain
- Book : Fishaar (Pg. 99)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Fawaz Niyaaz (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.