mujhe rutba-e-gham batana paDega
mujhe rutba-e-ġham batānā paḌegā
agar mere pīchhe zamāna paḌegā
bahut ġham-zada dil haiñ kaliyoñ ke lekin
usūlan unheñ muskurānā paḌegā
sukūñ DhūñDne aa.e the mai-kade meñ
yahāñ se kahīñ aur jaanā paḌegā
ḳhabar kyā thī jashn-e-bahārāñ kī ḳhātir
hameñ āshiyāna jalānā paḌegā
bahār ab na.e gul khilāne lagī hai
ḳhizāñ ko chaman meñ bulānā paḌegā
sukūt-e-musalsal munāsib nahīñ hai
asīro tumheñ ġhul machānā paḌegā
'fanā' tum ho shā.er to afsāna-e-ġham
ġhazal kī zabānī sunānā paḌegā
mujhe rutba-e-gham batana paDega
agar mere pichhe zamana paDega
bahut gham-zada dil hain kaliyon ke lekin
usulan unhen muskurana paDega
sukun DhunDne aae the mai-kade mein
yahan se kahin aur jaana paDega
KHabar kya thi jashn-e-bahaaran ki KHatir
hamein aashiyana jalana paDega
bahaar ab nae gul khilane lagi hai
KHizan ko chaman mein bulana paDega
sukut-e-musalsal munasib nahin hai
asiro tumhein ghul machana paDega
'fana' tum ho shaer to afsana-e-gham
ghazal ki zabani sunana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.