na dil mein sabr na ab dida-e-pur-ab mein KHwab
na dil meñ sabr na ab dīda-e-pur-āb meñ ḳhvāb
shitāb aa ki hameñ aave is azaab meñ ḳhvāb
jahāñ bhī ḳhvāb hai aur ham bhī ḳhvāb haiñ ai dil
ajab bahār kā dekhā ye ham ne ḳhvāb meñ ḳhvāb
hamārī chashm kā ai shahsavār tausan-e-nāz
jo ġhaur kī to kiyā hai tirī rikāb meñ ḳhvāb
har ik makāñ meñ guzargāh-e-ḳhvāb hai lekin
agar nahīñ to nahīñ ishq ke janāb meñ ḳhvāb
hujūm-e-ashk meñ lagtī hai chashm-e-tar is taur
ki jaise maahī ko aatā hai apne aab meñ ḳhvāb
ravā-ravī meñ lage aañkh kis tarah se 'nazīr'
musāfiroñ ko kahāñ aise iztirāb meñ ḳhvāb
na dil mein sabr na ab dida-e-pur-ab mein KHwab
shitab aa ki hamein aawe is azab mein KHwab
jahan bhi KHwab hai aur hum bhi KHwab hain ai dil
ajab bahaar ka dekha ye hum ne KHwab mein KHwab
hamari chashm ka ai shahsawar tausan-e-naz
jo ghaur ki to kiya hai teri rikab mein KHwab
har ek makan mein guzargah-e-KHwab hai lekin
agar nahin to nahin ishq ke janab mein KHwab
hujum-e-ashk mein lagti hai chashm-e-tar is taur
ki jaise mahi ko aata hai apne aab mein KHwab
rawa-rawi mein lage aankh kis tarah se 'nazir'
musafiron ko kahan aise iztirab mein KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.