rasta sunsan tha to muD ke dekha kyun nahin
rāsta sunsān thā to muḌ ke dekhā kyuuñ nahīñ
mujh ko tanhā dekh kar us ne pukārā kyuuñ nahīñ
dhuup kī āġhosh meñ leTā rahā maiñ 'umr bhar
mehrbāñ thā vo to misl-e-abr aayā kyuuñ nahīñ
ek panchhī der tak sāhil pe mañDlātā rahā
muztarib thā pyaas se lekin vo utrā kyuuñ nahīñ
qurb kī qaus-e-quzah kamre meñ bikhrī thī magar
raat bhar rang-e-tamannā phir bhī nikhrā kyuuñ nahīñ
mujh ko patthar meñ badalte chāhe ḳhud ban jaate vo mom
ḳhvāhish-e-tifl-e-tamannā ko jagāyā kyuuñ nahīñ
us ko tanhā pā ke 'aslam' raat apne room meñ
qatra-e-ḳhūn-e-havas āñkhoñ meñ aayā kyuuñ nahīñ
rasta sunsan tha to muD ke dekha kyun nahin
mujh ko tanha dekh kar us ne pukara kyun nahin
dhup ki aaghosh mein leTa raha main 'umr bhar
mehrban tha wo to misl-e-abr aaya kyun nahin
ek panchhi der tak sahil pe manDlata raha
muztarib tha pyas se lekin wo utra kyun nahin
qurb ki qaus-e-quzah kamre mein bikhri thi magar
raat bhar rang-e-tamanna phir bhi nikhra kyun nahin
mujh ko patthar mein badalte chahe KHud ban jate wo mom
KHwahish-e-tifl-e-tamanna ko jagaya kyun nahin
us ko tanha pa ke 'aslam' raat apne room mein
qatra-e-KHun-e-hawas aankhon mein aaya kyun nahin
- Book : Mukhtalif (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.