Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar mein hai jo azal se ye wo bala hi na ho

Muneer Niyazi

safar mein hai jo azal se ye wo bala hi na ho

Muneer Niyazi

safar meñ hai jo azal se ye vo balā na ho

kivāḌ khol ke dekho kahīñ havā na ho

nigāh-e-ā.īna ma.alūm aks nā-mālūm

dikhā.ī detā hai jo asl meñ chhupā na ho

zamīñ ke gird bhī paanī zamīñ tah meñ bhī

ye shahr jam ke khaḌā hai jo tairtā na ho

na ki is se pare dasht-e-marg ho shāyad

palaTnā chāheñ vahāñ se to rāsta na ho

maiñ is ḳhayāl se jaatā nahīñ vatan taraf

ki mujh ko dekh ke us but burā na ho

kaTī hai jis ke ḳhayāloñ meñ umr apnī 'munīr'

mazā to jab hai ki us shoḳh ko patā na ho

safar mein hai jo azal se ye wo bala hi na ho

kiwaD khol ke dekho kahin hawa hi na ho

nigah-e-aina malum aks na-malum

dikhai deta hai jo asl mein chhupa hi na ho

zamin ke gird bhi pani zamin ki tah mein bhi

ye shahr jam ke khaDa hai jo tairta hi na ho

na ja ki is se pare dasht-e-marg ho shayad

palaTna chahen wahan se to rasta hi na ho

main is KHayal se jata nahin watan ki taraf

ki mujh ko dekh ke us but ka ji bura hi na ho

kaTi hai jis ke KHayalon mein umr apni 'munir'

maza to jab hai ki us shoKH ko pata hi na ho

Source :
  • Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 416)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now