sainkaDon hi rahnuma hain rasta koi nahin
saiñkaḌoñ hī rahnumā haiñ rāsta koī nahīñ
aa.ine chāroñ taraf haiñ dekhtā koī nahīñ
sab ke sab haiñ apne apne dā.ere kī qaid meñ
dā.eroñ kī had se bāhar sochtā koī nahīñ
sirf mātam aur zaarī se hī jis kā hal mile
is tarah kā to kahīñ bhī mas.ala koī nahīñ
ye jo saa.e se bhaTakte haiñ hamāre ird-gird
chhū ke un ko dekhiye to vāhima koī nahīñ
jo huā ye darj thā pahle hī apne baḳht meñ
is kā matlab to huā ki bevafā koī nahīñ
tere raste meñ khaḌe haiñ sirf tujh ko dekhne
mudda.ā pūchho to apnā mudda.ā koī nahīñ
kun-fakāñ ke bhed se maulā mujhe āgāh kar
kaun huuñ maiñ gar yahāñ par dūsrā koī nahīñ
vaqt aisā ham-safar hai jis kī manzil hai alag
vo sarā.e hai ki jis meñ Thairtā koī nahīñ
gaahe gaahe hī sahī 'amjad' magar ye vāqi.a
yuuñ bhī lagtā hai ki duniyā kā ḳhudā koī nahīñ
sainkaDon hi rahnuma hain rasta koi nahin
aaine chaaron taraf hain dekhta koi nahin
sab ke sab hain apne apne daere ki qaid mein
daeron ki had se bahar sochta koi nahin
sirf matam aur zari se hi jis ka hal mile
is tarah ka to kahin bhi masala koi nahin
ye jo sae se bhaTakte hain hamare ird-gird
chhu ke un ko dekhiye to wahima koi nahin
jo hua ye darj tha pahle hi apne baKHt mein
is ka matlab to hua ki bewafa koi nahin
tere raste mein khaDe hain sirf tujh ko dekhne
muddaa puchho to apna muddaa koi nahin
kun-fakan ke bhed se maula mujhe aagah kar
kaun hun main gar yahan par dusra koi nahin
waqt aisa ham-safar hai jis ki manzil hai alag
wo sarae hai ki jis mein Thairta koi nahin
gahe gahe hi sahi 'amjad' magar ye waqia
yun bhi lagta hai ki duniya ka KHuda koi nahin
- Book : Batain Kartay Din (Pg. 103)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Sang-e-meel Publications (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.