Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundaron ko bhi dariya samajh rahe hain hum

Bharat Bhushan Pant

samundaron ko bhi dariya samajh rahe hain hum

Bharat Bhushan Pant

MORE BYBharat Bhushan Pant

    samundaroñ ko bhī dariyā samajh rahe haiñ ham

    ye apne-āp ko ab kyā samajh rahe haiñ ham

    hamārī raah meñ haa.el jo ik añdherā hai

    use bhī apnā saaya samajh rahe haiñ ham

    yahīñ talak hai rasā.ī hamārī āñkhoñ

    ki ḳhadd-o-ḳhāl ko chehra samajh rahe haiñ ham

    hamārī baat kisī samajh meñ kyuuñ aatī

    ḳhud apnī baat ko kitnā samajh rahe haiñ ham

    ab apne dard ko sahnā bahut mushkil hai

    zarā hai zaḳhm ko gahrā samajh rahe haiñ ham

    abhī fuzūl hai manzil baat bhī karnā

    abhī to logoñ se rastā samajh rahe haiñ ham

    bas ek raat Thaharne ye natīja hai

    sarā-e-fānī ko duniyā samajh rahe haiñ ham

    samundaron ko bhi dariya samajh rahe hain hum

    ye apne-ap ko ab kya samajh rahe hain hum

    hamari rah mein hael jo ek andhera hai

    use bhi apna hi saya samajh rahe hain hum

    yahin talak hai rasai hamari aankhon ki

    ki KHadd-o-KHal ko chehra samajh rahe hain hum

    hamari baat kisi ki samajh mein kyun aati

    KHud apni baat ko kitna samajh rahe hain hum

    ab apne dard ko sahna bahut hi mushkil hai

    zara hai zaKHm ko gahra samajh rahe hain hum

    abhi fuzul hai manzil ki baat bhi karna

    abhi to logon se rasta samajh rahe hain hum

    bas ek raat Thaharne ka ye natija hai

    sara-e-fani ko duniya samajh rahe hain hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now