Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawal tum log kar rahe ho ye kaise kaise musafiron se

Safar Naqvi

sawal tum log kar rahe ho ye kaise kaise musafiron se

Safar Naqvi

savāl tum log kar rahe ho ye kaise kaise musāfiroñ se

thake hue haiñ ye muddatoñ ke na pūchho raste musāfiroñ se

utaar kar sab thakan ke kapḌe vo phir masāfat ko oḌhte haiñ

daraḳht kahte haiñ dukh na chalne jab bhī Thahre musāfiroñ se

idhar vo sahrā meñ ḳhaak dhuntā udhar vo dariyā kināre gum-sum

ajiib hote haiñ ye ta'alluq musāfiroñ ke musāfiroñ se

vo jin ke paañv ke bose le kar tavāf karte haiñ aable bhī

hamāre shajre haiñ milte kar ke dekho aise musāfiroñ se

thakan meñ jin nuqūsh-e-manzil samā chuke hoñ unheñ bulāo

hameñ milāo na regzāroñ meñ ḳhaak uḌāte musāfiroñ se

to ḳhaar paañv ke gard dāman us ke pahlū meñ jhaaḌ aa.e

kisī ne māñge baḌī tavaqqo se jab bhī tohfe musāfiroñ se

ruke musāfir se āsmāñ ne sukūt paayā sabāt sīkhā

zamīñ ne raqs-o-tavāf sīkhā hai raah chalte musāfiroñ se

ki yaad ghar jo aa ga.ī to ye do qadam bhī na chal sakeñge

na chheḌo āñgan baat galiyoñ zikr bhaTke musāfiroñ se

sawal tum log kar rahe ho ye kaise kaise musafiron se

thake hue hain ye muddaton ke na puchho raste musafiron se

utar kar sab thakan ke kapDe wo phir masafat ko oDhte hain

daraKHt kahte hain dukh na chalne ka jab bhi Thahre musafiron se

idhar wo sahra mein KHak dhunta udhar wo dariya kinare gum-sum

ajib hote hain ye ta'alluq musafiron ke musafiron se

wo jin ke panw ke bose le kar tawaf karte hain aable bhi

hamare shajre hain milte ja kar ke dekho aise musafiron se

thakan mein jin ki nuqush-e-manzil sama chuke hon unhen bulao

hamein milao na regzaron mein KHak uDate musafiron se

to KHar panw ke gard daman ki us ke pahlu mein jhaD aae

kisi ne mange baDi tawaqqo se jab bhi tohfe musafiron se

ruke musafir se aasman ne sukut paya sabaat sikha

zamin ne raqs-o-tawaf sikha hai rah chalte musafiron se

ki yaad ghar ki jo aa gai to ye do qadam bhi na chal sakenge

na chheDo aangan ki baat galiyon ka zikr bhaTke musafiron se

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now