nasib mein jis ke jo likha tha wo teri mahfil mein kaam aaya
nasib mein jis ke jo likha tha wo teri mahfil mein kaam aaya
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
nasīb meñ jis ke jo likhā thā vo terī mahfil meñ kaam aaya
kisī ke hisse meñ pyaas aa.ī kisī ke hisse meñ jaam aaya
maiñ ik fasāna huuñ bekasī kā ye haal hai merī zindagī kā
na husn hī mujh ko raas aaya na ishq hī mere kaam aaya
badal ga.iiñ terī manzileñ bhī bichhaḌ gayā maiñ bhī kārvāñ se
tirī mohabbat ke rāste meñ na jaane ye kyā maqām aaya
tujhe bhulāne ki koshisheñ bhī tamām nākām ho ga.ī haiñ
kisī ne zikr-e-vafā kiyā jab zabāñ pe terā hī naam aaya
nasib mein jis ke jo likha tha wo teri mahfil mein kaam aaya
kisi ke hisse mein pyas aai kisi ke hisse mein jam aaya
main ek fasana hun bekasi ka ye haal hai meri zindagi ka
na husn hi mujh ko ras aaya na ishq hi mere kaam aaya
badal gain teri manzilen bhi bichhaD gaya main bhi karwan se
teri mohabbat ke raste mein na jaane ye kya maqam aaya
tujhe bhulane ki koshishen bhi tamam nakaam ho gai hain
kisi ne zikr-e-wafa kiya jab zaban pe tera hi nam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.