siyah shab ke asar se nikal rahe ho kya
siyāh shab ke asar se nikal rahe ho kyā
sitāro tum bhī mire saath chal rahe ho kyā
vo jā rahā thā to rokā nahīñ use tum ne
vo jā chukā hai to ab haath mal rahe ho kyā
bujhī bujhī sī ye bāteñ dhuāñ dhuāñ lahja
kisī azaab meñ andar se jal rahe ho kyā
tumheñ to aaj kī shab merā qatl karnā thā
kahāñ chale ho irāda badal rahe ho kyā
ye kyā safar hai kabhī ḳhatm hī nahīñ hotā
'nabīl' samt-e-muḳhālif meñ chal rahe ho kyā
siyah shab ke asar se nikal rahe ho kya
sitaro tum bhi mere sath chal rahe ho kya
wo ja raha tha to roka nahin use tum ne
wo ja chuka hai to ab hath mal rahe ho kya
bujhi bujhi si ye baaten dhuan dhuan lahja
kisi azab mein andar se jal rahe ho kya
tumhein to aaj ki shab mera qatl karna tha
kahan chale ho irada badal rahe ho kya
ye kya safar hai kabhi KHatm hi nahin hota
'nabil' samt-e-muKHalif mein chal rahe ho kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.