soe hue palang ke sae jaga gaya
so.e hue palañg ke saa.e jagā gayā
khiḌkī khulī to āsmāñ kamre meñ aa gayā
āñgan meñ terī yaad kā jhoñkā jo aa gayā
tanhā.ī ke daraḳht se patte uḌā gayā
hañste chamakte ḳhvāb ke chehre bhī miT ga.e
battī jalī to man meñ añdherā sā chhā gayā
aayā thā kaale ḳhuun kā sailāb pichhlī raat
barsoñ purānī jism kī dīvār Dhā gayā
tasvīr meñ jo qaid thā vo shaḳhs raat ko
ḳhud hī frame toḌ ke pahlū meñ aa gayā
vo chaa.e pī rahā thā kisī dūsre ke saath
mujh par nigāh paḌte hī kuchh jheñp sā gayā
soe hue palang ke sae jaga gaya
khiDki khuli to aasman kamre mein aa gaya
aangan mein teri yaad ka jhonka jo aa gaya
tanhai ke daraKHt se patte uDa gaya
hanste chamakte KHwab ke chehre bhi miT gae
batti jali to man mein andhera sa chha gaya
aaya tha kale KHun ka sailab pichhli raat
barson purani jism ki diwar Dha gaya
taswir mein jo qaid tha wo shaKHs raat ko
KHud hi frame toD ke pahlu mein aa gaya
wo chae pi raha tha kisi dusre ke sath
mujh par nigah paDte hi kuchh jhenp sa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.