tasawwur se kahin baDh kar koi manzar bhi dekhunga

tasawwur se kahin baDh kar koi manzar bhi dekhunga
Waleed Anwar Waleed
MORE BYWaleed Anwar Waleed
tasavvur se kahīñ baḌh kar koī manzar bhī dekhūñgā
tire nauḳhez dāman ko kabhī chhū kar bhī dekhūñgā
bahār-e-zindagānī sun tirī sūrat nahīñ goyā
magar maiñ aañkh se apnī tirā paikar bhī dekhūñgā
abhī tūfāñ kā ruḳh garche mire pahlū kī jānib hai
tirī āġhosh meñ barpā koī mahshar bhī dekhūñgā
mire 'ishq-o-junūñ kā to yahī ik silsila Thahrā
ki kuchh hāsil na dekhūñgā agar kuchh kar bhī dekhūñgā
safar āvārgī kā hai 'valīd' ab sochnā kaisā
añdherī raat Dhalne par kabhī maiñ ghar bhī dekhūñgā
tasawwur se kahin baDh kar koi manzar bhi dekhunga
tere nauKHez daman ko kabhi chhu kar bhi dekhunga
bahaar-e-zindagani sun teri surat nahin goya
magar main aankh se apni tera paikar bhi dekhunga
abhi tufan ka ruKH garche mere pahlu ki jaanib hai
teri aaghosh mein barpa koi mahshar bhi dekhunga
mere 'ishq-o-junun ka to yahi ek silsila Thahra
ki kuchh hasil na dekhunga agar kuchh kar bhi dekhunga
safar aawargi ka hai 'walid' ab sochna kaisa
andheri raat Dhalne par kabhi main ghar bhi dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.