Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama

Nazeer Akbarabadi

dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    dariyā o koh o dasht o havā arz aur samā

    dekhā to har makāñ meñ vahī hai rahā samā

    hai kaun vo chashm nahīñ jis meñ us nuur

    hai kaun vo dil ki nahīñ jis meñ us

    qumrī usī yaad meñ kū-kū kare hai yaar

    bulbul usī ke shauq meñ kartī hai chahchahā

    muflis kahīñ ġharīb tavañgar kahīñ ġhanī

    aajiz kahīñ nibal kahīñ sultāñ kahīñ gadā

    bahrūp banā ke har ik vo aan aan

    kis kis tarah ke ruup badaltā hai vāh-vā

    mulk-e-razā meñ kar ke tavakkul jins ko

    baiTheñ haiñ sab isī dukāneñ lagā lagā

    sab isī dukān se jaarī hai kārobār

    letā hai koī husn koī dil hai bechtā

    dekhā jo ḳhuub ġhaur se ham ne to yaañ 'nazīr'

    bāzār-e-mustafā hai ḳharīdār hai ḳhudā

    dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama

    dekha to har makan mein wahi hai raha sama

    hai kaun si wo chashm nahin jis mein us ka nur

    hai kaun sa wo dil ki nahin jis mein us ki ja

    qumri usi ki yaad mein ku-ku kare hai yar

    bulbul usi ke shauq mein karti hai chahchaha

    muflis kahin gharib tawangar kahin ghani

    aajiz kahin nibal kahin sultan kahin gada

    bahrup sa bana ke har ek ja wo aan aan

    kis kis tarah ke rup badalta hai wah-wa

    mulk-e-raza mein kar ke tawakkul ki jins ko

    baiThen hain sab isi ki dukanen laga laga

    sab ka isi dukan se jari hai karobar

    leta hai koi husn koi dil hai bechta

    dekha jo KHub ghaur se hum ne to yan 'nazir'

    bazar-e-mustafa hai KHaridar hai KHuda

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now