Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tazad-e-jazbaat mein ye nazuk maqam aaya to kya karoge

Qabil Ajmeri

tazad-e-jazbaat mein ye nazuk maqam aaya to kya karoge

Qabil Ajmeri

MORE BYQabil Ajmeri

    tazād-e-jazbāt meñ ye nāzuk maqām aayā to kyā karoge

    maiñ ro rahā huuñ tum hañs rahe ho maiñ muskurāyā to kyā karoge

    mujhe to is darja vaqt-e-ruḳhsat sukūñ talqīn kar rahe ho

    magar kuchh apne liye bhī sochā maiñ yaad aayā to kyā karoge

    abhī to tanqīd ho rahī hai mire mazāq-e-junūñ pe lekin

    tumhārī zulfoñ barhamī savāl aayā to kyā karoge

    tumhāre jalvoñ raushnī meñ nazar hairāniyāñ musallam

    magar kisī ne nazar ke badle jo dil āzmāyā to kyā karoge

    utar to sakte ho yaar lekin ma.aal par bhī nigāh kar lo

    ḳhudā-nā-karda sukūn-e-sāhil na raas aayā to kyā karoge

    kuchh apne dil par bhī zaḳhm khaao mire lahū bahār kab tak

    mujhe sahārā banāne vaalo maiñ laḌkhaḌāyā to kyā karoge

    abhī to dāman chhuḌā rahe ho bigaḌ ke 'qābil' se rahe ho

    magar kabhī dil dhaḌkanoñ meñ sharīk paayā to kyā karoge

    tazad-e-jazbaat mein ye nazuk maqam aaya to kya karoge

    main ro raha hun tum hans rahe ho main muskuraya to kya karoge

    mujhe to is darja waqt-e-ruKHsat sukun ki talqin kar rahe ho

    magar kuchh apne liye bhi socha main yaad aaya to kya karoge

    abhi to tanqid ho rahi hai mere mazaq-e-junun pe lekin

    tumhaari zulfon ki barhami ka sawal aaya to kya karoge

    tumhaare jalwon ki raushni mein nazar ki hairaniyan musallam

    magar kisi ne nazar ke badle jo dil aazmaya to kya karoge

    utar to sakte ho yar lekin maal par bhi nigah kar lo

    KHuda-na-karda sukun-e-sahil na ras aaya to kya karoge

    kuchh apne dil par bhi zaKHm khao mere lahu ki bahaar kab tak

    mujhe sahaara banane walo main laDkhaDaya to kya karoge

    abhi to daman chhuDa rahe ho bigaD ke 'qabil' se ja rahe ho

    magar kabhi dil ki dhaDkanon mein sharik paya to kya karoge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now