Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum se chhuT kar zindagi ka naqsh-e-pa milta nahin

Akhtar Saeed Khan

tum se chhuT kar zindagi ka naqsh-e-pa milta nahin

Akhtar Saeed Khan

MORE BYAkhtar Saeed Khan

    tum se chhuT kar zindagī naqsh-e-pā miltā nahīñ

    phir rahā huuñ kū-ba-kū apnā patā miltā nahīñ

    maiñ huuñ phirtā hai koī aur mere bhes meñ

    kis se pūchhūñ koī sūrat-āshnā miltā nahīñ

    naqsh-e-hairat na thā pursān-e-hāl-e-ġham bhī thā

    tum ne jo toḌā hai ab vo ā.īnā miltā nahīñ

    nā-umīdī harf-e-tohmat sahī kyā kījiye

    tum qarīb aate nahīñ ho aur ḳhudā miltā nahīñ

    us ke dil se apnā andāz-e-taġhāful pūchhiye

    jis ke dil ko dard bhī aasrā miltā nahīñ

    ik na ik rishta isī duniyā se thā apnā kabhī

    sochtā huuñ aur koī silsila miltā nahīñ

    koī saa.e tarah chaltā hai 'aḳhtar' saath saath

    dostdār-e-dil hai lekin barmalā miltā nahīñ

    tum se chhuT kar zindagi ka naqsh-e-pa milta nahin

    phir raha hun ku-ba-ku apna pata milta nahin

    main hun ya phirta hai koi aur mere bhes mein

    kis se puchhun koi surat-ashna milta nahin

    naqsh-e-hairat hi na tha pursan-e-haal-e-gham bhi tha

    tum ne jo toDa hai ab wo aaina milta nahin

    na-umidi harf-e-tohmat hi sahi kya kijiye

    tum qarib aate nahin ho aur KHuda milta nahin

    us ke dil se apna andaz-e-taghaful puchhiye

    jis ke dil ko dard ka bhi aasra milta nahin

    ek na ek rishta isi duniya se tha apna kabhi

    sochta hun aur koi silsila milta nahin

    koi sae ki tarah chalta hai 'aKHtar' sath sath

    dostdar-e-dil hai lekin barmala milta nahin

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 293)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now