Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin

Aslam Aazad

uDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin

Aslam Aazad

uḌte lamhoñ ke bhañvar meñ koī phañstā nahīñ

is samundar meñ koī tairne vaalā nahīñ

sālhā-sāl se vīrān haiñ dil galiyāñ

ek muddat se koī is taraf aayā nahīñ

aañkh ke ġhaar meñ haiñ saikḌoñ saḌtī lāsheñ

jhāñk kar un meñ kisī ne kabhī dekhā nahīñ

duur tak phail ga.ī TūTte lamhoñ ḳhalīj

vaqt saaya mire sar se utartā nahīñ

silsila rone sadiyoñ se chalā aatā hai

koī aañsū mirī palkoñ pe Thahartā nahīñ

jalte ākāsh Dhalvān pe sūraj vajūd

ik pighaltā huā laavā hai ki bujhtā nahīñ

uDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin

is samundar mein koi tairne wala hi nahin

salha-sal se viran hain dil ki galiyan

ek muddat se koi is taraf aaya hi nahin

aankh ke ghaar mein hain saikDon saDti lashen

jhank kar un mein kisi ne kabhi dekha hi nahin

dur tak phail gai TuTte lamhon ki KHalij

waqt ka saya mere sar se utarta hi nahin

silsila rone ka sadiyon se chala aata hai

koi aansu meri palkon pe Thaharta hi nahin

jalte aakash ki Dhalwan pe suraj ka wajud

ek pighalta hua lawa hai ki bujhta hi nahin

Source :
  • Book : Mukhtalif (Pg. 111)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now