wahi mere KHas-o-KHashak se nikalta hai
vahī mire ḳhas-o-ḳhāshāk se nikaltā hai
jo rañg sā tirī poshāk se nikaltā hai
karegā kyuuñ na mire baad hasratoñ kā shumār
tirā bhī hissa in imlāk se nikaltā hai
havā ke saath jo ik bosa bhejtā huuñ kabhī
to shola us badan-e-pāk se nikaltā hai
mile agar na kahīñ bhī vo be-libās badan
to mere dīda-e-namnāk se nikaltā hai
utārtā hai mujhe niind ke niastāñ meñ
abhī vo ḳhvāb rag-e-tāk se nikaltā hai
fasīl-e-fahm ke andar bhī kuchh nahīñ maujūd
na koī ḳhema-e-idrāk se nikaltā hai
dhueñ kī tarha se ik phuul mere hone kā
kabhī zamīñ kabhī aflāk se nikaltā hai
mire sivā bhī koī hai jo mere hote hue
badal badal ke mirī ḳhaak se nikaltā hai
ye mojaze se koī kam nahīñ 'zafar' apnā
jo kaam us but-e-chālāk se nikaltā hai
wahi mere KHas-o-KHashak se nikalta hai
jo rang sa teri poshak se nikalta hai
karega kyun na mere baad hasraton ka shumar
tera bhi hissa in imlak se nikalta hai
hawa ke sath jo ek bosa bhejta hun kabhi
to shola us badan-e-pak se nikalta hai
mile agar na kahin bhi wo be-libas badan
to mere dida-e-namnak se nikalta hai
utarta hai mujhe nind ke niastan mein
abhi wo KHwab rag-e-tak se nikalta hai
fasil-e-fahm ke andar bhi kuchh nahin maujud
na koi KHema-e-idrak se nikalta hai
dhuen ki tarha se ek phul mere hone ka
kabhi zamin kabhi aflak se nikalta hai
mere siwa bhi koi hai jo mere hote hue
badal badal ke meri KHak se nikalta hai
ye mojaze se koi kam nahin 'zafar' apna
jo kaam us but-e-chaalak se nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.