barish ki rut mein sahra ho jata hai
bārish kī rut meñ sahrā ho jaatā hai
dil-dariyā ko jaane kyā ho jaatā hai
sāñjh-pavan mujh meñ aa kar ruk jaatī hai
aur ik habs-darīcha vā ho jaatā hai
dil kā suunā rahnā Thiik nahīñ sāhab
suunā ghar āseb-zada ho jaatā hai
jhoñkā aate hī sairāb sadāoñ kā
ḳhāmoshī kā zaḳhm harā ho jaatā hai
ramz khuleñ jab tak is chāk-savārī ke
tab tak ik chakkar puurā ho jaatā hai
āvāzeñ āvāzoñ meñ zam hotī haiñ
dhīre-dhīre sannāTā ho jaatā hai
āḳhir-e-shab dariyā meñ saañp utarte haiñ
sub.h talak paanī niilā ho jaatā hai
barish ki rut mein sahra ho jata hai
dil-dariya ko jaane kya ho jata hai
sanjh-pawan mujh mein aa kar ruk jati hai
aur ek habs-daricha wa ho jata hai
dil ka suna rahna Thik nahin sahab
suna ghar aaseb-zada ho jata hai
jhonka aate hi sairab sadaon ka
KHamoshi ka zaKHm hara ho jata hai
ramz khulen jab tak is chaak-sawari ke
tab tak ek chakkar pura ho jata hai
aawazen aawazon mein zam hoti hain
dhire-dhire sannaTa ho jata hai
aaKHir-e-shab dariya mein sanp utarte hain
subh talak pani nila ho jata hai
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 27)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.