wo barsat ki shab wo pichhla pahar
vo barsāt kī shab vo pichhlā pahar
añdhere ke pahlū meñ sunsān ghar
khuleñge abhī aur kis kis ke dar
kahāñ ḳhatm hogā lahū kā safar
kuchh apne aqā.ed bhī kamzor the
larazte the saa.e bhī dīvār par
ujāle simaTte rahe aañkh meñ
sitāre bikharte rahe farsh par
badan meñ pighaltī rahī chāñdnī
lahū meñ sulagtī rahī dopahar
kabhī ḳhaak vāloñ kī bāteñ bhī sun
kabhī āsmānoñ se nīche utar
qadam ghar meñ rakhte hī ghāyal huā
gire TuuT kar mujh pe dīvār-o-dar
wo barsat ki shab wo pichhla pahar
andhere ke pahlu mein sunsan ghar
khulenge abhi aur kis kis ke dar
kahan KHatm hoga lahu ka safar
kuchh apne aqaed bhi kamzor the
larazte the sae bhi diwar par
ujale simaTte rahe aankh mein
sitare bikharte rahe farsh par
badan mein pighalti rahi chandni
lahu mein sulagti rahi dopahar
kabhi KHak walon ki baaten bhi sun
kabhi aasmanon se niche utar
qadam ghar mein rakhte hi ghayal hua
gire TuT kar mujh pe diwar-o-dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.