wo kya hai kaun hai ye to zara bata mujhko
vo kyā hai kaun hai ye to zarā batā mujh ko
ki jis ne sañg meñ tabdīl kar diyā mujh ko
maiñ kho na jā.ūñ kahīñ dasht-e-nā-murādī meñ
tū apnī ā.ankhoñ kī āġhosh meñ chhupā mujh ko
kisī tarah na tilism-e-sukūt TuuT sakā
vo de rahā thā bahut duur se sadā mujh ko
maiñ dūsroñ kī malāmat kā bojh sah lūñgā
magar tū apnī nazar se na yuuñ girā mujh ko
maiñ tere sāmne phir sar-buland ho na sakūñ
gunah kī ret meñ is tarah mat dabā mujh ko
badan kī aag ko oḌhā hai chādaroñ kī tarah
milī hai ḳhuub mire jurm kī sazā mujh ko
wo kya hai kaun hai ye to zara bata mujh ko
ki jis ne sang mein tabdil kar diya mujh ko
main kho na jaun kahin dasht-e-na-muradi mein
tu apni aaankhon ki aaghosh mein chhupa mujh ko
kisi tarah na tilism-e-sukut TuT saka
wo de raha tha bahut dur se sada mujh ko
main dusron ki malamat ka bojh sah lunga
magar tu apni nazar se na yun gira mujh ko
main tere samne phir sar-buland ho na sakun
gunah ki ret mein is tarah mat daba mujh ko
badan ki aag ko oDha hai chadaron ki tarah
mili hai KHub mere jurm ki saza mujh ko
- Book : Mukhtalif (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.