wo mere nale ka shor hi tha shab-e-siyah ki nihayaton mein
vo mere naale kā shor hī thā shab-e-siyah kī nihāyatoñ meñ
maiñ ek zarra ināyatoñ par maiñ ek gardish kasāfatoñ meñ
giraft aur us kī kar rahā huuñ jo aab hai in basāratoñ kī
kamand aur us pe pheñktā huuñ jo tah-e-nashīñ hai samā.atoñ meñ
mire liye shahr-e-kaj meñ rakkhā hī kyā hai jo apne ġham gañvā.ūñ
vo ek dāmāñ bahut hai mujh ko sukūt-afzā farāġhatoñ meñ
maiñ ek shab kitnī rāteñ jaagā vo maah biite ki saal guzre
pahāḌ sā vaqt kāTtā huuñ shumār kartā huuñ sā.atoñ meñ
tire falak hī se TūTne vaalī raushnī ke haiñ aks saare
kahīñ kahīñ jo chamak rahe haiñ hurūf merī ibāratoñ meñ
vo bojh sar par uThā rakhā hai ki jism o jaañ tak haiñ chuur jin se
pachās barsoñ kī zillateñ jo hameñ milī thiiñ virāsatoñ meñ
wo mere nale ka shor hi tha shab-e-siyah ki nihayaton mein
main ek zarra inayaton par main ek gardish kasafaton mein
giraft aur us ki kar raha hun jo aab hai in basaraton ki
kamand aur us pe phenkta hun jo tah-e-nashin hai samaaton mein
mere liye shahr-e-kaj mein rakkha hi kya hai jo apne gham ganwaun
wo ek daman bahut hai mujh ko sukut-afza faraghaton mein
main ek shab kitni raaten jaga wo mah bite ki sal guzre
pahaD sa waqt kaTta hun shumar karta hun saaton mein
tere falak hi se TuTne wali raushni ke hain aks sare
kahin kahin jo chamak rahe hain huruf meri ibaraton mein
wo bojh sar par uTha rakha hai ki jism o jaan tak hain chur jin se
pachas barson ki zillaten jo hamein mili thin wirasaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.