Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaadon ka lams zehn ko chhu kar guzar gaya

Aslam Aazad

yaadon ka lams zehn ko chhu kar guzar gaya

Aslam Aazad

yādoñ lams zehn ko chhū kar guzar gayā

nashtar mere jism meñ jaise utar gayā

maujoñ shor mujh ko Darātā rahā magar

paanī meñ paañv rakhte dariyā utar gayā

pairoñ pe har taraf havāoñ raqs thā

ab sochtā huuñ aaj vo manzar kidhar gayā

do din meñ ḳhāl-o-ḳhat mire tabdīl ho ga.e

ā.īna dekhte maiñ apne se Dar gayā

apnā makān bhī thā usī moḌ par magar

jaane maiñ kis ḳhayāl meñ auroñ ke ghar gayā

us din mirā ye dil to bahut udaas thā

shāyad sukūn ke liye dar-ba-dar gayā

maiñ sañg huuñ na aur vo shīsha thā magar

'aslam' jo us ko haath lagāyā bikhar gayā

yaadon ka lams zehn ko chhu kar guzar gaya

nashtar sa mere jism mein jaise utar gaya

maujon ka shor mujh ko Daraata raha magar

pani mein panw rakhte hi dariya utar gaya

pairon pe har taraf hi hawaon ka raqs tha

ab sochta hun aaj wo manzar kidhar gaya

do din mein KHal-o-KHat mere tabdil ho gae

aaina dekhte hi main apne se Dar gaya

apna makan bhi tha usi moD par magar

jaane main kis KHayal mein auron ke ghar gaya

us din mera ye dil to bahut hi udas tha

shayad sukun hi ke liye dar-ba-dar gaya

main sang hun na aur wo shisha hi tha magar

'aslam' jo us ko hath lagaya bikhar gaya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now