ye jahan tak rasta maujud hai
ye jahāñ tak rāsta maujūd hai
is se aage bhī ḳhudā maujūd hai
lekin ab maiñ aur merā ghar kahāñ
shahr to apnī jagah maujūd hai
in daraḳhtoñ in zamīñ-zādoñ ke paas
har parinde kā pata maujūd hai
be-niyāzāna guzar duniyā se tū
be-niyāzī kā sila maujūd hai
ism se bhariye use yā jism se
har jagah ḳhālī jagah maujūd hai
maut kā kyā kaam jab is shahr meñ
zindagī jaisī balā maujūd hai
ye jahan tak rasta maujud hai
is se aage bhi KHuda maujud hai
lekin ab main aur mera ghar kahan
shahr to apni jagah maujud hai
in daraKHton in zamin-zadon ke pas
har parinde ka pata maujud hai
be-niyazana guzar duniya se tu
be-niyazi ka sila maujud hai
ism se bhariye use ya jism se
har jagah KHali jagah maujud hai
maut ka kya kaam jab is shahr mein
zindagi jaisi bala maujud hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 83)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.