ye udasi ye phailte sae
ye udāsī ye phailte saa.e
ham tujhe yaad kar ke pachhtā.e
mil gayā thā sakūñ nigāhoñ ko
kī tamannā to ashk bhar aa.e
gul hī uktā ga.e haiñ gulshan se
bāġhbāñ se kaho na ghabrā.e
ham jo pahuñche to rahguzar hī na thī
tum jo aa.e to manzileñ laa.e
jo zamāne kā saath de na sake
vo tire āstāñ se lauT aa.e
bas vahī the matā-e-dīda-o-dil
jitne aañsū mizha talak aa.e
ye udasi ye phailte sae
hum tujhe yaad kar ke pachhtae
mil gaya tha sakun nigahon ko
ki tamanna to ashk bhar aae
gul hi ukta gae hain gulshan se
baghban se kaho na ghabrae
hum jo pahunche to rahguzar hi na thi
tum jo aae to manzilen lae
jo zamane ka sath de na sake
wo tere aastan se lauT aae
bas wahi the mata-e-dida-o-dil
jitne aansu mizha talak aae
- Book : Sham ka Pahla Tara (Pg. 20)
- Author : ZEHRA NIGAAH
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.