zaKHmon ka do-shaala pahna dhup ko sar par tan liya
zaḳhmoñ kā do-shāla pahnā dhuup ko sar par taan liyā
kyā kyā ham ne khashT kamā.e kahāñ kahāñ nirvān liyā
naqsh diye tirī āshāoñ ko aks diye tire sapnoñ ko
lekin dekh hamārī hālat vaqt ne kyā tāvān liyā
ashkoñ meñ ham gūñdh chuke the us ke lams kī ḳhushbū ko
mom ke phuul banāne baiThe lekin dhuup ne aan liyā
barsoñ ba.ad hameñ dekhā to pahroñ us ne baat na kī
kuchh to gard-e-safar se bhāñpā kuchh āñkhoñ se jaan liyā
aañkh pe haat dhare phirte the lekin shahr ke logoñ ne
us kī bāteñ chheḌ ke ham ko lahje se pahchān liyā
sūraj sūraj khel rahe the 'sājid' ham kal us ke saath
ik ik qaus-e-quzah se guzre ik ik bādal chhān liyā
zaKHmon ka do-shaala pahna dhup ko sar par tan liya
kya kya hum ne khashT kamae kahan kahan nirwan liya
naqsh diye teri aashaon ko aks diye tere sapnon ko
lekin dekh hamari haalat waqt ne kya tawan liya
ashkon mein hum gundh chuke the us ke lams ki KHushbu ko
mom ke phul banane baiThe lekin dhup ne aan liya
barson baad hamein dekha to pahron us ne baat na ki
kuchh to gard-e-safar se bhanpa kuchh aankhon se jaan liya
aankh pe hat dhare phirte the lekin shahr ke logon ne
us ki baaten chheD ke hum ko lahje se pahchan liya
suraj suraj khel rahe the 'sajid' hum kal us ke sath
ek ek qaus-e-quzah se guzre ek ek baadal chhan liya
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 09.02.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.