chor Daku ko parsa kahiye
chor Daaku ko pārsā kahiye
kyā batā.eñ ki kis ko kyā kahiye
aap tanqīd meñ bhī māhir haiñ
aap bhī kuchh bhalā burā kahiye
imtihāñ deñge shart hai lekin
rakh ke likkheñge ham chhurā kahiye
bhūkī jantā ko kapḌe rāshan kī
kyā zarūrat hai barmalā kahiye
seTh jī aap kā bhī hai kaisā
āj-kal apnā hāzma kahiye
aap chamche haiñ aap ko Dar kyā
ġhair kā maal baap kā kahiye
apnī begam kā kyā bayān karūñ
un ko ghar kā mushā.era kahiye
mummy daddy ke saath baby bhī
jā rahī ho club to kyā kahiye
ik mahīne meñ aadh liter tel
kyā jalā.eñ faqat diyā kahiye
jā ke ab āsmān se laa.eñ
chīnī maidā ki DālDā kahiye
baat 'jauhar' kī sun ke hañste haiñ
jī meñ aa.e to masḳharā kahiye
chor Daku ko parsa kahiye
kya bataen ki kis ko kya kahiye
aap tanqid mein bhi mahir hain
aap bhi kuchh bhala bura kahiye
imtihan denge shart hai lekin
rakh ke likkhenge hum chhura kahiye
bhuki janta ko kapDe rashan ki
kya zarurat hai barmala kahiye
seTh ji aap ka bhi hai kaisa
aaj-kal apna hazma kahiye
aap chamche hain aap ko Dar kya
ghair ka mal bap ka kahiye
apni begam ka kya bayan karun
un ko ghar ka mushaera kahiye
mummy daddy ke sath baby bhi
ja rahi ho club to kya kahiye
ek mahine mein aadh liter tel
kya jalaen faqat diya kahiye
ja ke ab aasman se laen
chini maida ki DalDa kahiye
baat 'jauhar' ki sun ke hanste hain
ji mein aae to masKHara kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.