Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasin chaal ki qainchi chalai jati hai

Jauhar Siwani

hasin chaal ki qainchi chalai jati hai

Jauhar Siwani

MORE BYJauhar Siwani

    hasīn chaal qaiñchī chalā.ī jaatī hai

    adā ke saath hajāmat banā.ī jaatī hai

    janāb-e-shaiḳh ko dekhā hai us mahalle meñ

    jahāñ sharāb nazar se pilā.ī jaatī hai

    'ajīb Dhang se hotī hai ḳhātir-e-'āshiq

    hinā.ī haath se chappal dikhā.ī jaatī hai

    amīr-e-shahr ke kuttoñ ke tez dāñtoñ se

    ġharīb-e-shahr haDDī chabā.ī jaatī hai

    mire dayār dhobī jahāñ bhī jaatā hai

    use gadhoñ kahānī sunā.ī jaatī hai

    ba-vaqt-e-sub.h mujhe salary ke din ghar meñ

    banā ke chaa.e adā se pilā.ī jaatī hai

    nirālā Dhang hai chorī un bastī meñ

    nazar se hosh pūñjī churā.ī jaatī hai

    piTā.ī hotī hai us shaḳhs sar-e-mahfil

    jise adā-e-tabassum dikhā.ī jaatī hai

    hasin chaal ki qainchi chalai jati hai

    ada ke sath hajamat banai jati hai

    janab-e-shaiKH ko dekha hai us mahalle mein

    jahan sharab nazar se pilai jati hai

    'ajib Dhang se hoti hai KHatir-e-'ashiq

    hinai hath se chappal dikhai jati hai

    amir-e-shahr ke kutton ke tez danton se

    gharib-e-shahr ki haDDi chabai jati hai

    mere dayar ka dhobi jahan bhi jata hai

    use gadhon ki kahani sunai jati hai

    ba-waqt-e-subh mujhe salary ke din ghar mein

    bana ke chae ada se pilai jati hai

    nirala Dhang hai chori ka un ki basti mein

    nazar se hosh ki punji churai jati hai

    piTai hoti hai us shaKHs ki sar-e-mahfil

    jise ada-e-tabassum dikhai jati hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now