Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab namak dal mein kam ho to ghazal hoti hai

Jauhar Siwani

jab namak dal mein kam ho to ghazal hoti hai

Jauhar Siwani

MORE BYJauhar Siwani

    jab namak daal meñ kam ho to ġhazal hotī hai

    mirch sabzī meñ baham ho to ġhazal hotī hai

    bhuuk aur pyaas shiddat se agar shā'ir ke

    peT meñ phūTtā bam ho to ġhazal hotī hai

    muflisī qarz za'īfī o tap-e-diq ke sivā

    dil ko kuchh aur bhī ġham ho to ġhazal hotī hai

    apnī tanḳhvāh bhī ho der se milne vaalī

    aur sāmān bhī kam ho to ġhazal hotī hai

    apnī aamad se ho kam ḳharch ki zaa.id yaaro

    fikr se naak meñ dam ho to ġhazal hotī hai

    guDDū lallī tarah ghar meñ kisī shā'ir ke

    ziddī bachchoñ janam ho to ġhazal hotī hai

    dum jo ho TeḌhī bhī kutiyā to ik she'r na ho

    zulf-e-māshūq meñ ḳham ho to ġhazal hotī hai

    ye bhī suntā huuñ madakchīyoñ ke muñh se aksar

    aag par auñdhī chilam ho to ġhazal hotī hai

    she'r-goī nahīñ mauqūf hasīñ lafzoñ par

    ḳhūn-e-dil jal ke bhasam ho to ġhazal hotī hai

    aa'lā tā'līm-o-sanad bhī nahīñ rah meñ haa.il

    ham-navā zor-e-qalam ho to ġhazal hotī hai

    raat meñ machchhar-o-khaTmal kisī shā'ir par

    be-tahāshā jo karam ho to ġhazal hotī hai

    hijr raat jo baḌh jaa.e to raunaq aa jaa.e

    vasl 'umr bhī kam ho to ġhazal hotī hai

    chorī halva kahīñ khāne sā'at 'jauhar'

    chashm-e-begam karam ho to ġhazal hotī hai

    jab namak dal mein kam ho to ghazal hoti hai

    mirch sabzi mein baham ho to ghazal hoti hai

    bhuk aur pyas ki shiddat se agar sha'ir ke

    peT mein phuTta bam ho to ghazal hoti hai

    muflisi qarz za'ifi o tap-e-diq ke siwa

    dil ko kuchh aur bhi gham ho to ghazal hoti hai

    apni tanKHwah bhi ho der se milne wali

    aur saman bhi kam ho to ghazal hoti hai

    apni aamad se ho kam KHarch ki zaid yaro

    fikr se nak mein dam ho to ghazal hoti hai

    guDDu lalli ki tarah ghar mein kisi sha'ir ke

    ziddi bachchon ka janam ho to ghazal hoti hai

    dum jo ho TeDhi bhi kutiya ki to ek she'r na ho

    zulf-e-mashuq mein KHam ho to ghazal hoti hai

    ye bhi sunta hun madakchiyon ke munh se aksar

    aag par aundhi chilam ho to ghazal hoti hai

    she'r-goi nahin mauquf hasin lafzon par

    KHun-e-dil jal ke bhasam ho to ghazal hoti hai

    aa'la ta'lim-o-sanad bhi nahin rah mein hail

    ham-nawa zor-e-qalam ho to ghazal hoti hai

    raat mein machchhar-o-khaTmal ka kisi sha'ir par

    be-tahasha jo karam ho to ghazal hoti hai

    hijr ki raat jo baDh jae to raunaq aa jae

    wasl ki 'umr bhi kam ho to ghazal hoti hai

    chori ka halwa kahin khane ki sa'at 'jauhar'

    chashm-e-begam ka karam ho to ghazal hoti hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now